Nojoto: Largest Storytelling Platform
panktiji8525
  • 6Stories
  • 17Followers
  • 44Love
    0Views

Pankti Ji

apno ke chero ki khushi ban jane ki khuwahish hai bs.. khushi ban k sb ke dil me rehna h.

  • Popular
  • Latest
  • Video
62958843d0e2d773d092566ea600ff18

Pankti Ji

ek esa ehsas h pyaar jiske bina haar rishta adhura hai
chahe vo insano k madhay me ho, janwaro k madhay me ya fir ek insan or janwar k madhay me,  is ehsaas ko duniya ki haar chiz me mehsus kiya ja sakta h , ye haar rishtey ki buniyad hai, ye h to sb h ye nhi to hum sb kuch bhi nhi. ye humari aatma se mehsus kiya jata h, pyaar kisi chhuan ka mohtaz nhi hota h. ye to ehsas h jo hum do alag logo ko ek dusre k saath jode rakhta. ye ehsaas hi to h jo haar duri ko nazdikiyo me tabdil kr deta h. bs ise sache rup me hum tabhi mehsus kr sakte jb hum nisuaarth hoke isse apni ichhao se pare hokr soch paye...ye ehsaas har kisi k dil me dastak deta h bs hum hi isse apni banavati duniya me mehsus nhi kr pate hai. khud ko aazad karo kyu ki ye ehsaas hume ek alag hi duniya se jodega jaha lafzoo se nhi  sirf ehsaaso se hi baate ki jati h kyu ki ehsaas hum insano ki trha jhutte nhi hote hai... #kuch ankahi baatein
#panktikipanktiya
62958843d0e2d773d092566ea600ff18

Pankti Ji

#OpenPoetry Tu insan hoke insano ka hi laahu baha raha hai is bheed me,
Kya tu insaniyat ko bhi bhul gaya hai is bheed me,
Kya tu bhool gaya hai , Tu insan hai jaanwar nhi is bheed me...


Tu jisse noch raha hai kya sunai nhi de rahi hai uski chikhe is bheed me,
Teri jarurato k liye beraham ho chala hai tu is bheed me,
Kya tu bhool gaya hai , Tu insan hai jaanwar nhi is bheed me...

teri ichhaye kya aaj insaniyat se bhi badi ho gai hai is bheed me,
jo tu tere hi vajud ko sharmsaar kiye baitha hai is bheed me,
kya tu bhul gaya hai, tu insan hai jaanwar nhi is bheed me..

Mana apno ko bhula diya h tune par kya unke diye sanskaro ko bhi bhul gaya hai is bheed me,
Tera suaarth nigal raha apno ko hi is bheed me,
Kya tu bhool gaya hai , Tu insan hai jaanwar nhi is bheed me...

Chalo Mana tu bhaira ho gaya h, pr kya teri antar-aatma ne bhi sunna chhod diya hai is bheed me,
mene har din zindgi ko sharmsaar hote huye dekha, par tu kyu nhi dekh pa raha hai ye sb is bheed me,
Kya tu sach me bhool gaya hai ki , Tu insan hai jaanwar nhi is bheed me...
 
©jipankti #openpoetry
62958843d0e2d773d092566ea600ff18

Pankti Ji

Ek tapti dhup me thandi chhav sa tha vo mere liye..
Ek kaali andheri raat k baad ek pyaari si subha sa tha vo mere liye...
Vo nhi janta tha ki vo kya tha mere liye!!!
Ek pyase k liye jesa pani tha esa tha vo mere liye..
Ek naumeed insan ko umeed mil jaye esa tha vo mere liye..
Vo nhi janta tha ki vo kya tha mere liye!!!
Ek aasman se tuta huaa tara sa tha vo mere liye...
Mere gungunane me ek mitthi si dhun sa tha vo mere liye...
 Vo nhi janta tha ki vo kya tha mere liye!!!
Baand kamre me ek tezz roshni si aaye esa tha vo mere liye..
Khamoshi k picche chhipi unkahi baato sa tha vo mere liye...
Vo nhi janta tha ki vo kya tha mere liye!!!
Haari dhara pr ek oos ki boond sa tha vo mere liye..
Ek bhatke huye musafir ki manzil jesa tha vo mere liye..
Vo nhi janta tha ki vo kya tha mere liye..
Kyu ki mene usse kabhi bataya hi nhi tha ki kya tha vo mere liye!!!!
©jipankti #poem
#panktikipanktiya
62958843d0e2d773d092566ea600ff18

Pankti Ji

#OpenPoetry Maine aaj maa se ek sawal kiya. maa kya darna buri baat h?? maa ne muskura k mujhe kaha bilkul bhi nhi. Fir mene maa se kaha to log esa kyu kehte h ki jo daar gaya samjo maar gaya... Maa fir se muskura di or apna kaam krti rahi...Muje samaj nhi aa raha tha ki maa mujh pr hash rahi h ya mere sawal par. Fir mai maa se gussa hoke jane lagi, tabhi maa ne mera hath pakad k mujhe roka or kaha ki sabji me namak mai daalu.. muje or gussa aaya ek to maa mujhe mere sawal ka jabab nhi de rahi h ulta mujhe kaam bata rahi h. Mujh se maa ne kaha ki sabji me namak dalo fir vo mere sawal ka javab dengi. Fir kya tha mene fatak se sabji me namak dala or maa ko bola ki ab aap jabab dijiye .maa ne jabab to diya nhi ulta mujh se hi sawal pucch liya. maa ne mujh se puccha ki tumne namak kis hissab se dala, mene kaha ki mujhe pata h ki kitni sabji me kitna namak chahiye hota h us anubhav se..Maa fir muskura di or boli dar or namak ek jese hi h . Bt is baar mujhe gussa nhi aaya tha kyu ki mujhe janna tha ki maa k namak ka or mere dar ka relation h kya. Fir maa ne mujhe kaha ki tumse namak jayda kyu nhi dala kyu ki tumhe pata h ki vo agar sahi matra me dala jayega to sabji ka swad bigde ga nhi, namak jese khane me jaruri hai  bilkul vese hi dar ka bhi hona life me bahut jaruri h agar vo santulan me rahe to. kyu ki hume daar badi galti krne se rokta h , vo hume zindagi me hone vali laparwahiyo se bachata h , daar hume ek baar fir sochne ka moka deta hai. Par hum dar ko galat mante h kyu ki hume pata hi nhi h ki isse santulan me rakhna kese h or isse kese santulan me rakhna h ye humara anubhav sikhata h..Agar dar km hoga to hum galtiyo se kabhi kuch sikhenge hi nhi bs unhe laparwahiyo se dohrate rahenge...Or Agar daar jayda hoga to hum kuch bhi naya na hi kr payenge or na hi sikh payenge...Agar khud k dar pr santulan aa gaya to zindagi kabhi kadvi nhi hogi vo behad laziz hogi. Aaj mujhe zindgi k sawad k ek ingredient ka mahatv samaj aaya tha.
©jipankti #story-dar bhi accha hota h
#panktikipanktiya

#story-dar bhi accha hota h #panktikipanktiya #OpenPoetry

7 Love

62958843d0e2d773d092566ea600ff18

Pankti Ji

जनम जनम का साथ, ye kahani h kalam or kagaj ki. dono hi apne hunar pr bahut itraya krte the.... kalam kehti thi ki duniya mere bina kuch nhi likh sakti h . kagaj kehta tumhara vajud hi mujh se h. dono hi ek dusre ko samjhane me lage rehte...pr ye aaj tk samaj nhi paye ki dono ka vajud unke saath hono se . agar dono me se kisi ek ke bhi kadam dagmagaye ,haar to dono ki hi honi thi... kalam jitni tezz thi kagaj utna hi somay..dono ki khasiyat ek dusre k viparit thi.. pr fir bhi saath the vo duniya ko haar din kuch naya sikhane k liye. kyu ki shayad vo samaj gaye the ki vajud mai mai se nhi hum se hota h.... #kalam or page 
#panktikipanktiya
62958843d0e2d773d092566ea600ff18

Pankti Ji

kisi bhi kahani ka vo hissa jo usse or kahaniyo se alag or vishesh banata hai, jo haar kahani k hone ka karan byaa krta hai,jo writer or readers k madhay ek sukun ka lamha lekr saari kashmakash or uljhano ko khatam krte huye akho me nami ya fir hoto par pyaari si muskan lekr aata h. shayad kuch esi hi kahani hoti hai haar notebook ke last page ki. #last page 
#panktikipanktiya


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile