Nojoto: Largest Storytelling Platform
sakshigarg8412
  • 124Stories
  • 170Followers
  • 430Love
    0Views

Sakshi Garg

  • Popular
  • Latest
  • Video
81ac55c42e54a5273379250d0060336b

Sakshi Garg

Khushia itni baant ti hu ki mere hisse  udaasi reh jaati hai
Hontho pr logo ke muskurahat aur khud ke liye tanhaai reh jaati hai

3 Love

81ac55c42e54a5273379250d0060336b

Sakshi Garg

Sambhalna dil ko khud se zada,kahi bewafaai na kr bethe
Dil aaya ho aankhon pr aur muskurahat se ishq kr bethe

2 Love

81ac55c42e54a5273379250d0060336b

Sakshi Garg

Yeh diary mujhe mere dost ne di thi
Jo ab kahi kho sa gaya hai
Vo dost jiske bina mai jeene ka tassavur bhi nahi kr skti thi
Vo dost jo meri har mushkil mei asaani thi
Vo dost jo jaldi gussa krta tha
Vo dost jo mujhe pyaar se smjhaata tha
Vo dost jo mujhe mujhse zada jaanta tha
Vo dost jo unchaaio se ghabrata tha
Vo dost jo bachpane mei kuch bhi kr jaata tha
Vo dost jisko meetha bhott psnd aata tha
Vo dost jo khul kr hasta tha
Vo dost jo sabki muskurahat ki vajah bnta tha
Vo dost jo mujhe zindgi jeene ki vajah deta tha
Vo dost jo mujhe har baar bikharne se bachaya krta tha
Vo dost jo har waqt mashroof rehta tha
Vo dost jo apne sapne ke liye jeeta tha
Vo dost jiske aur bhi dost hua krte the
Vo dost jiske liye hum mehez dost the

4 Love

81ac55c42e54a5273379250d0060336b

Sakshi Garg

Saaye ke jaise saath rehne waale vaade aksr toot jaaya krte hai
Jab din ke ujaale andhero mei dhal jaaya krte hai

3 Love

81ac55c42e54a5273379250d0060336b

Sakshi Garg

Saaye ke jaise saath rehne waale vaade aksr toot jaaya krte hai
Jab din ke ujaale andhero mei dhal jaaya krte hai

3 Love

81ac55c42e54a5273379250d0060336b

Sakshi Garg

Unki ek jhalak dekhne ko yeh aankhen tarasti thi
Jo kabhi saamne aa jaaye toh lage se lgaakr khoob barasti thi

4 Love

81ac55c42e54a5273379250d0060336b

Sakshi Garg

Unki zindgi mei bandishe hi kuch aisi thi
Vo milna toh chahte the, bss khwaab dekhne ki azaadi thi

4 Love

81ac55c42e54a5273379250d0060336b

Sakshi Garg

Vo saanse bhi kisi khushboo se km nahi thi
Mussalsal mausam guzar gaya tha, vrna abhi jaane ki jaldi kisi hi thi

3 Love

81ac55c42e54a5273379250d0060336b

Sakshi Garg

Aaftaab ke jaise noor tha unke chehre pr
Aur mehtaab ke jaise aankhen
Yu saamne se vo guzar gaye aur sooni kr gaye vo raatein

5 Love

81ac55c42e54a5273379250d0060336b

Sakshi Garg

Vo kehte the ki ab waqt nahi dete hai hum unhe
Kon btaaye unke khyaal mashroof rakhte hain ab hume

4 Love

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile