Nojoto: Largest Storytelling Platform
saqibmalik4161
  • 29Stories
  • 34Followers
  • 165Love
    0Views

SAQIB MALIK

finding the inner me which was never lost .

https://theunutteredfeelings.wordpress.com/

  • Popular
  • Latest
  • Repost
  • Video
c34dc83e3ac57c2838a5ad4ee1c9d7ad

SAQIB MALIK

Ye veerani ki kisey ye roz ka sanata 
Kuch Ache ni lagte kuch ache ni dikhte
Maa ka ujadna  phool ka murjana 
Kuch Ache ni lagte kuch ache ni dikhte
Jannat jo bani thi usey dozakh sa banaana 
Kuch Ache ni lagte kuch ache ni dikhte
Dil ka ghabrana roz o shab ka chilana
Kuch Ache ni lagte kuch ache ni dikhte
Marne se pehle kch acha hai kar jana 
Is ujdi hui jannat ko phir se hai basana
Dil se nikli jo dua isko na tukhrana 
Is deewana ka na tujh bin koi thikhana 
Is ujdi hui jannat ko hai phir se basana 
                       ثاقب born in paradise living in hell

born in paradise living in hell #poem

10 Love

c34dc83e3ac57c2838a5ad4ee1c9d7ad

SAQIB MALIK

Lafz e mohabbat ko tau shaiyron ne barbaad kardiya 
Iske maani jo samjh jao tau dil ki ahmiyat pata chal jaaye 
Chordiye matlab o maani saahib ye tau darvaishi o fakeeri hai 
Rooh e mohabbat ne majnu o ranjha yunhi paida nahi kiye hai
Ishq agar ishq reh jaaye tau kya nafrat kya fitna
Insan main jo chaiye insaniyat tau ishq talaash kar
                        ثاقب

9 Love

c34dc83e3ac57c2838a5ad4ee1c9d7ad

SAQIB MALIK

Lafz e mohabbat ko tau shaiyron ne barbaad kardiya 
Iske maani jo samjh jao tau dil ki ahmiyat pata chal jaaye 
Chordiye matlab o maani saahib ye tau darvaishi o fakeeri hai 
Rooh e mohabbat ne majnu o ranjha yunhi paida nahi kiye hai
Ishq agar ishq reh jaaye tau kya nafrat kya fitna
Insan main jo chaiye insaniyat tau ishq talaash kar  
ثاقب love heals everything but make sure it is love

love heals everything but make sure it is love #Shayari

7 Love

c34dc83e3ac57c2838a5ad4ee1c9d7ad

SAQIB MALIK

charoñ aur  sanata hai Saqib
Ye chekheñ kitni khamosh hai
Kuch kehna chahti hai humse,
Hum b kitne behre hain  
apni dhun main masroof hai #coronovirus
#quarantinedays
#staysafestayhome
c34dc83e3ac57c2838a5ad4ee1c9d7ad

SAQIB MALIK

Shehar main thodi hadbad kya hui 
Logon k rang bahar aane lagey 
Imaan o rehmat ki tau yun badi baat karte ho
Dair o haram  par taale phir kyun lagey 
Yun tau apne mazhab ki bartari  dikhate ho 
Aaj jab imtihaan ki gadi aayi tau ghonslon main chupne lagey
Ay insaan is sab se uth, chord ye fasaadat- chal haath mila 
Ek dusre ka sahara ban , aaj insaan ko insaan ki zururat hai bahut lets always be together and tackle whatever comes to us
#unity #fraternity

lets always be together and tackle whatever comes to us #UNITY #Fraternity #Talk

7 Love

c34dc83e3ac57c2838a5ad4ee1c9d7ad

SAQIB MALIK

Shabaab main apne tifl ki yaad bahut aati hai 
    aur    peeri ki b  pareshani  bahut rehti hai 
Ae saqib zara hosh sambhal
Kahin is chakar main tere viladat e shabaab ki vafaat na hojaye live the moment
#shayri

live the moment #shayri #Life_experience

7 Love

c34dc83e3ac57c2838a5ad4ee1c9d7ad

SAQIB MALIK

Kabhi kya nahi, kabhi kya kya bana hoon
Kabhi bawarchi tau kabhi dhobi bana hoon
Kabhi safai wala tau kabhi khudka he 
Utaleeq bana hoon
Kabhi kya nahi, kabhi kya kya bana hoon
Ghar se jo door hoon ,ghar nahi par makaan zaroor banaya hai 
Usmain akele rehkar khudka he dost bana hoon
Kabhi hamdard kabhi humsafar tau kabhi khudika hi ustad bana hoon
Kabhi kya nahi, kabhi kya kya bana hoon
Kabhi majbooriyan tau kabhi zimidariyan thi wajah 
Manzil ki aur jo chale ja raha hoon 
Kabhi kya nahi, kabhi kya kya bana hoon
Kabhi bhai kabhi behan kabhi baap tau kabhi khudki he maa bana hoon
Kabhi kya nahin, kabhi kya kya bana hoon #strong
#motivation
#wordsstraightfromtheheart
#shayri
#responsibilities
c34dc83e3ac57c2838a5ad4ee1c9d7ad

SAQIB MALIK

Zer e aab hoon dooba tau nahin hoon
Maana kashti ka sahara nahi,
Par main khud main b tau ek samandar hoon motivation

motivation #خیال

9 Love

c34dc83e3ac57c2838a5ad4ee1c9d7ad

SAQIB MALIK

mahv e dua main rahogey kab tak,
jaagna b tau hai dua ko dastaan banaane kay liye #Inspiration #motivation
c34dc83e3ac57c2838a5ad4ee1c9d7ad

SAQIB MALIK

khwab gaah main jo khwab dekhe, neend b saath thi. 
ab khwab gaah se door jo hua , khwab e pareshan hai bas when u miss your bedroom

when u miss your bedroom #Shayari

1 Love

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile