Nojoto: Largest Storytelling Platform
geeta9240699213232
  • 1Stories
  • 22Followers
  • 4Love
    0Views

geeta

  • Popular
  • Latest
  • Video
e9a43418fb8a0c6bd5c122fc1c6f5dbd

geeta

Ek sidhi sadhi si ladki thi
Apne khwaabo ki dhun me rehti thi
Ek din dost ka mukhota pahene hewan se milne aayi thi
waqt guzarte us hewan ne apni hewaniyat thi
Paakar apne dost se dhokha wo badi ghabraai thi
Fir wo chikhi thi, chillai thi
Chod mujhe ye baar baar batlai thi
Par kisi ne naa suni uski pukaar thi
Bhagvaan or maa ki di usne duhai thi
Dila ke usse apni maa ki yaad, wo gussa use dilayi thi
Khich ke zoro se baal, wo zameen pe patkai thi
Jab khicha gaya duppata uska, ek yukti usne lagai thi
Periods hai mujhe, gande khoon ki aayegi baas tujhe
Bol aisi baat do pal usse soch ne pe majboor kar payi thi
Maar ke mauke pe chokka, wo apni izzat bachake bhagi thi
Chod ke apna dupatta waha, wo badi tezi se bhagi thi

Socha usne yaha khatam hui ye kahani thi
Par kya jaane wo yahi jang ki asli shuruaat thi
Pahoch ke apne ghar sahemi si bethi thi
Bach gayi ye soch rahat ki saans le payi thi
Kuch der baad baji ghar ki ghanti thi
Darvaze pe kuch logo ki toil thi
Jab vo bin duppate bachane apni izzat bich raste se bhagi thi
Tab vo bahut se logo ki nazro me aayi thi
Ghanti ki wo aavaz aur logo ki toli usi ki shikayat layi thi
Dekhte hi usko sabne ungli uspe uthayi thi
Sabne bola baari baari wo kuch na bol payi thi
Sabke saamne vo badi mushkil se khadi reh payi thi
Kuch waqt pahele hue vo hadse ko kaha ab tak bhula payi thi
Na pucha use kuch, na boli kuch tab uski maa thi
Khich wo apni beti ko ek kamre mai bandh kar aayi thi
Andekhi bediya uske hatho aur pairo pe aayi thi
Apne dupatta ke sath wo maa-baap ka bharosa chod aayi thi
Jab lauti tab laga tha jang jit wo aayi thi
Par bandh kamre ne samjhaya tu sab haar ke aayi thi
Na phone tha, na koi saheli, kisi se wo baat na kar payi thi
Dusro ki chodo yaha to maa bhi kuch bata payi thi
Kya din, kya raat, wo apne hi ghar kedi ban jiti thi
Do-teen dino me kuch aisi asar hui dil-o-dimag pe thi
Bina kisi kusur ke wo khud se nazar nahi mila pati thi
Bandh kamre or akele pan se ek hi baat dimaag me aati thi
Kya hota jyada se jyada jo mai tab na bhagi hoti
Karke mera rape, banta wo khooni aur mout meri aati thi
Aisi zindagi se to achha mai mar hi jati thi
Chod ke khana peena wo har pal roya karti thi
“kya thi galti meri?” ye divaro se pucha karti thi
Nikalo mujhe bahar, suno meri baat, galti to uski thi
Har pal ye chikhti rehti thi
Aakhir kaat ab maa karma khol gayi thi
Paanch dino baad wo kamre se bahar aayi thi

Bina sune uski baat maa ne baate bahut sunai thi
Papa ki aankho me wo pyaar nahi dekh payi thi
Jab batane apni baat awaj usne uthayi thi
Bina kuch sune nirllaj or paapi vo kahelayi thi
Sunke ye sab ab marne ki baat dil mai aayi thi
Deke sabko chakhma wo chatt pe chadh aayi thi
Isse pahele kuch hota galat “ruk jao” ki awaj aayi thi
Fir waha wo ek farishte se mil payi thi
Jo kisi ko na bata payi wo baat ab usne batai thi
Sunke saari baat, farishte ne diya jawab
Ab kyu zindagi se ladne aayi thi? 
Tu to ussi din maut se jit aayi thi
Sunke uski baate wo fir ek baar muskurayi thi
Sikh ke bharose ka ek path aage wo badh payi thi

Barso baad aaj usne kalam he uthai thi
Likh kar baya ki usne apni kahani thi
Likhate samay us andhere ko fir se mahesus kar wo aayi thi
Fir ek baar us andhere par jeet usne paayi thi

               @Bachi_hu_main #weather

4 Love


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile