Discover & Read Best Stories about chalo ishq ladaaye. Also Read about ishq subhan allah, ishq 2 song, ishq mein marjawan, ishq mein mar jawan, ishq, ishq tamasha, tashan e ishq, salaam e ishq, ishq the movie, ishq na karna, tere ishq me, ishq song, ishq film, ishq songs, ishq junoon.
Fiza-e-saher : Saher ki hawa
karb : dukh
qaba : kapde
purfitan : hangame wala, fitno wala
khalq : creation
teg : talwaar
teer : teer
istihaar : Advertised
rabt : connection
dariche : khidkiyaa
Adavat : dushmani
Fiza-e-saher lag rahi hai ab purfitan,
chalo aek naya ghar dhundha jaaye.
Bahot ho gaya zindagi ka rabt qarb se,
chalo ab tasalli se hi jiyaa jaaye.
Ho gaye hai qaba bhi mele apne karam se,
chalo naya libas hi banaya jaaye.
Jin daricho ki ki thi hamne kabhi marammat,
chalo aaj unka bhi hisaab liyaa jaaye.
chalte chalte pade huae aablo ko
Manzil pe nahi, Raaho me hi geenaa jaaye.
mukammal hai har aek khalq apne aap me,
chalo ab nakamo ki basti me hi rahaa jaaye.
Teg - o- teer baazi ka hunar hame bhi hai malum,
bs bahot ho gaya ab,
Adavat ki iss jung ko qalam hi se ladaa jaaye.
Bahot ho gayi ab kirdaar saazi adna,
Chalo ab khud ka bhi istihaar nikala jaaye.