..Meri zindagi me pyaar bhi hai.. Maa ki mamta, papa ki fatkaar bhi hai Doston ka pyar, girlfriend ki takraar bhi hai Boss ki gaali, colleagues ka aitbaar bhi hai Banzar zameen to hai hi, bhara- poora bazar bhi hai Meri zindagi me pyaar bhi hai.... Mandiron ke darshan apaar bhi hai, Khwajao ke saare mazaar bhi hai Mai sansaar me hu mana, par mujhme ek sansaar bhi hai Kayi mahano ka aabhar bhi hai, kisi pe kiya maine upkaar bhi hai Meri zindagi me pyaar bhi hai.... Mujhme bhadakta ek angaar bhi hai, to sheetal jal sa bhaar bhi hai Mujhme Geeta ka Saar bhi hai,to urdu ka akhbaar bhi hai Mere kaam kayi naamgaar bhi hai, maine kiye kaam bekar bhi hai Man nazuk sa naar bhi hai, dil chattanon sa Deewar bhi hai Meri zindagi mein pyaar bhi hai.... Mujhme ahinsavaadi ek yaar bhi hai, mujhme hinsavaadi vichar bhi hai Maanavta ka sanchar bhi hai, to amaanavta ka bukhar bhi hai Ek achchhi khabar to hai hi, dukho ka samachar bhi hai Bachpan ki meethi goliya bhi hai, dadi ke hathon ka achar bhi hai Ek masoom sa bachcha betha hai bheetar, To kisi ka yeh gunahgaar bhi hai Meri zindagi mein pyaar bhi hai.... Urdu ke shayar to baste hai hi, kuchh filmi sangeetkar bhi hai Nani ki loriya to hai hi, bachpan me padi jo maar bhi hai Meri zindagi mein pyaar bhi hai..... .......Mohd Nasir