Nojoto: Largest Storytelling Platform

Yu to kehta hoon farq nahi padta ab, Lekin ek jhal

Yu to kehta hoon farq nahi padta ab,
Lekin ek jhalak dikh jaaye to, nazar hataya nahi hatta.
Yu to kehta hoon farq nahi padta ab,
Lekin uske saath ke pal abhi bhi, aankh band karte hi saamne hote hain.
Yu to kehta hoon farq nahi padta ab,
Lekin kisi aur ke saath dikh jaaye to, dil jal sa jaata hai.
Yu to kehta hoon farq nahi padta ab,
Lekin yeh bolte hue bhi, ussi ko yaad kar raha hota hoon.
Yu to kehta hoon farq nahi padta ab,
Lekin ab kya farq padta hai, jab usse hi farq nahi padta mere hone ya na hone se.

©Nishant Kumar Singh
  Farq nhi padta😒🫠
nishantkumarsing9000

Rahul

New Creator

Farq nhi padta😒🫠 #Shayari

81 Views