Nojoto: Largest Storytelling Platform

  Poem name: -( ‘’ek dil’’ ) Ek Dil dhoodhne nikla

  Poem name: -( ‘’ek dil’’ )
Ek Dil dhoodhne nikla jab khushiyon ki manjil the rahon mai, kante or door tha sahil.   Bina parwah kiye raston ke kanton main , chalta raha sehta gaya peeda shalon ki.  Na tan par thakan thi na koi peeda ka tha asar,   uske liye to jaise dard bhi ho gaya tha beasar. Kafi door or kai meelon tak chalke, सालो ka faishla ते karke wo pahuncha sahar manzilon tak. pata puchha apni manzil ka kai logon se,   nahin mila pata par wo ghoom gaya kuchh ghar dilon ke. Jab kafi puchhne par bhi nahin mili manzil to gir gaya wo, katra katra bikhara or toot gaya wo, na aas thi saans bhi aakhri thi usmain, phir ek chamatkar hua or manzil khud aa gayi pass mein.  Manzil ko dekhkar ukhdi hui antim saans dil main kuchh der rooki, wo bola ab mili manzil mujhe jab saans hi na rahi.    Shukriya! Jo meri jaan nikalne se pehle manzil aa gayi,   kahkar uski antim saans bhi khusi pakar ruk gayi.  Chain or sukoon se khusi ki manzil pakar, dil chala anjaan safar ki or duniya chodkar.  Ek dil chala tha dhoodhne kushiyon ki manzil, jaan dekar wo pa gaya tha khusiyon ka manzil.........