Nojoto: Largest Storytelling Platform

Jinda bhi hai, Har lamha jee rahe hai Par koi sarh

Jinda bhi hai, Har lamha jee rahe hai
Par koi sarhad pe jaan de ke, Jeena sikha gya

Maa baap garv kare, Aisa bhi koi kaam na kiya
Desh garv kare jispe, Us jeevan ka marg dikha gya

Kehne ko hindustani hai, Bas do paise kamaye humne
Usne maa ke doodh ka karz chukaya, Tirange ka maan badha gya

Ab bhi hai kuch log, Jo rajneeti me atke hain
Ab to ekjut ho jao, Jaan deke wo jeevan ka arth batla gya

Rakt ab bhi nhi ubal raha, Toh wo khoon nhi paani hai
Hamari maut par shayed kuch ro pade, 
Poore desh ki aankhon se wo paani baha gya #NojotoQuote #PulwamaAttack#KhoonKholRahaHai#BharatMataKiJai
#Nojoto #NojotoHindi #HindiPoetry #TST #Kalakaksh #2Liner #Shayari