Woh kya tha jo humare beech tha Dosti,pyaar ya kuch aur? Woh kya tha jo hassi mazak sa tha Apnapan,tassalli ya kuch aur? Woh kya tha jo tere chhuan me tha Haqiqat, sapna ya kuch aur? Woh kya tha jo baaton jazbaaton me tha Sach, fareb ya kuch aur? Woh kya tha jo humari anban me tha Fikar, humdardi ya kuch aur? Bata bhi de ab.. Woh kya tha jo humare beech tha, Dosti, pyaar ya kuch aur? #dosti #pyaar #apnapan #tassalli #haqiqat #sapna #fareb #fikar #humdardi #YQbaba #YQdidi #YQbhaijan #yopowrimo #poems #hindi #kavita