Nojoto: Largest Storytelling Platform

Aaj ek khayal aaya - Pita ke Dil ko roshani mai le

Aaj ek khayal aaya -
Pita ke Dil ko roshani mai le aaya .
Woh kehte hai -
Ek roj mere aagan me ek ful kheeli ,
Jiski khilkhilahat meri taqat ban gai .
Subha jiske chehare ko dekh kar nikala karte the ,
Rat ko uske hath ke niwale se hi pet bhara karte the .
Teri bachpan ki kahani mujhe aaj bhi yaad aati hai ,
Vidai ke yad se aakhen aaj bhi  bhar jati hai .
Lakshmi ki swaroop le Kar aai thi tum ,
Mere bhagya ki lakeer ko bhi badai thi tum .
Waqt beetata gaya -
Kab tum badi hui aur bidai ka ghadi aa gai ,
Beti tum mujhe dekh udaas na hona ,
Aashu bus yuhi hai ,
Khushi bahot si hai .
Yeh judaai halat se mazbur nahi ,
Bhagwan ki banai pyari sougat hai .
Tum khush - aaj raho - hamesha raho ,
Yahi humari Dua hai . MERI BEETIYA 
#hindi_poem
#lado_nanhi