On the occasion of Janmashtami saavla rang b kitna salona hota hai ye tuje jaankar samaj aaya, rang-roop kya hai bas aankho ka dokha ye tune sikhlaya, chahta to tu b gora rang lekar aata is duniya me aakhir bhagvan tha tu, par dil se manav sundar banta hai ye tuje hi to sikhlana tha!! Chahta agar tu to palke japkte hi kaurvo ka ant kar deta, par karm se hi insaan ki pehchan hai ye tuje duniya ko dikhana tha, hone hi na deta tu yuddh mahabharat ka aakhir tu bhagvan tha, par bheed kum hoti hai sacchai aur dharm ki raah par ye bhi to duniya ko samjana tha!! Meera teri diwani thi aur tu Radha ka tha diwana, par nahi meera ko tu mila aur nahi tuje radha, jodiya upar wala hi banata hai tuje ye bhi to saabit karna tha!! haalato se dar jaae tu itna kamzor kahan tha tu, ranchhod kehlaya tu kyuki jaha jeet tey ho wahi ladna chahiye tuje ye bhi to sikhlana tha!! Nange pair tu bhaga jab Sudama tere dar par khada tha, uski dosti ka karz tha tujpar tuje wo bhi to chukana tha, bhagvan nahi dost samjkar mila tu use aur hak se thamaya tandul uske hath me, ek mutthi tandul se uski garibi door hui...khali hath nahi bhejega tu aakhir sudama ko b to ye yakin tha!! Krishna avtar ki yahi to khasiyat thi, insaan ko kaise jeena chahiye bhagvan ko yahi leela to samjani thi!! #happykrishnajanmashtmi❤😇🙏