Nojoto: Largest Storytelling Platform

● main ghantoan intizaar kiya karti thii-us train

● main ghantoan intizaar kiya karti thii-us train ka jo
door se mujhe aankh michauli karti nazar aati thìi-
uska  chhuk chhuk karna mujhe bahot achchha lagta
thaa..
meri yaadoan ke ratjagoan mein dhundhla dhundhla
sa kuchh aur bhii hai..shayad woh uthta hua dhwaan
hai..miloan ki chimniyoan se uthta hua dhwaan..shayad
woh shoar hai machinoan ka..lekin sachchaai ke ghup
andhkaar mein har drishya bikhar chuka hai..sannate
ki banjar zameen par zakhmoan ki fasal ke siwa kuchh
bhii nahin..lal Imli ki darakti deewaaroan ki tarah hii
main bhii sisak rahi hoon..kisi masiha ke intizaar mein..
samay ki saleeb par dard se karahti huii..lekin phir bhii
main zinda hoon abhii..

©Shinawar Kyunki main zinda hoon abhi..

shinawar4707

Shinawar

New Creator

Kyunki main zinda hoon abhi..