Nojoto: Largest Storytelling Platform

Woh aazad parinda banna chahta tha, Aaj kai kho sa

Woh aazad parinda banna chahta tha,
Aaj kai kho sa gaya hai ,
Ek ladka achanak ab ek mard ban chuka hai ,

Ek ladka dekha hai maine ,
Apne sapne kurban kar apni behen ke peeche ussey bhagte dekha hai ,
Parivar ki parwah  mai ussey humne khud ke liye kaafi  kam jeete dekhe hai ,
Aankhein nam toh uski bhi hoti hai , par ussey humne apne jazbaat cheepate dekha hai,
Samaj ke ritirivaajo maj humne ussey dabte dekha hai ,
Muskurahat ko sambhal ke apne parivar mai ussey humne piroste dekha hai,
Na jaane kitni raaton ko ussey humne chhat par chupchap bethe huye dekha hai ,
Mard  bante bante ussey humne ek zimedaar beta bante dekha hai,
Shaadi ke baadi pati aur phir apne bacho ka pita bante huye humne ussey dekha hai,
Khud ki pehchan ko ussey humne cheepate huye dekha hai ,

Ek ladka dekha hai maine,
Jisey pyaar mai bewafai milne ke baad bhi ussey apne parivaar ke liye muskurate dekha hai ,

Ussey zyada kuch jatane ka hak nahi aisa  sunte ussey bada hota dekha hai ,
Ek ladke ko apni umar se pehle hi apne parivaar ki jaruraton ko samajte dekha hai,
Ek ladke ko humne chupke se apni zindagi apno par kurbaan karte dekha hai ,

Ha Ek hai Anjaana sa  jisey humne humari zindagi mai khas bante dekha hai ,
Apne Ma Baap ka iklouta dost bante dekha hai ,

Ek ladke ko humne aaj sahi maayno mai achanak se mard bante dekha hai.

©sifu shayera
  #menempowerment