Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ek bachpan ka zamana tha jisme khushiyon ka khazan

Ek bachpan ka zamana tha jisme khushiyon ka khazana tha, chaht chaand ko paane ki thi par dil teetli ka deewana tha, khabar na thi kuch subah ki na shaam ka theekana tha. Thakk kar aana school se par khelne bhi jana tha.
Maa ki kahani thi paryion ka fasana tha, baarish mein kagaz ki nauv (boat) thi har mausam suhana tha, rone ki wajah na thi, na hasne ka bahana tha.
Kyu ho gaye hum itne bade, isse achha to wo bachpan ka zamana tha. Mandeep

©Mandeep Singh Arora.
  #MandeepSinghArora