Nojoto: Largest Storytelling Platform

Maine meri maa se pucha,Aurat hona Kya hota hai? m

Maine meri maa se pucha,Aurat hona Kya hota hai?
maa ne Mujhko hans kar bola, tyag humara dharm hota hai.

Kismat teri mitti si, lakirein khinchi auron ne.
Hansne par pabandi hai, ye sikhlaya auron ne.

Tu ek nivala kha nahi sakti, Marzi teri chal nahi sakti,
Tu gudia hai meri choti si, Par khel sikhaya gairon ne.

Roshan karti ghar ko sare, jyoti hai tu ghar k mere,
Par tere andar ki jyoti ki, Mil kar bujhaya auron ne.

Ye kehte kehte maa ki aankhein ho gayi num,
Muhko boli, Tu hi deepak, tu hi jyoti, noor tu meri aankhon ka,

Koi tujhko kuch bhi bole, koi tujh ko kitna tole,
Unko sir utha kar kehna, aankhon me aankhein daal kar kehna,

Aurat hona samman hai mera,Aurat hona shan hai mera,
Tan se, mann se,dharm se, aurat hona abhi hai mera.
 #nationalgirlchild