Na koi dil na koi khwaab hamara apna
Kya khabar hoga kahaN kaise guzara apna
Jis haqeeqat ko jiya hai wo kisi aur ki hai
Jis ta'alluq ko hai toda wo hai saara apna
Tere hote huye hum aur kisi ke ho jayeN
Ab isi baat pe maa'il hai sitaara apna #poerty#Shayari#UrduLover#zabaneishq