White Mahtaab bana lo maskan apna khuub mashuur raho Chaahaton ka taara na bann.na jis se chuur raho Mere qariib aana hai,mera rafiiq hona hai?haan zaruur raho Phir ek baat zehn-nashiin kar lo,jitna ho sakhe mujh se duur raho Kami-beshi,zavaal-o-uruuj dastuur-e-zindagi hai Magar jis daur se bhi guzro uss mai bharpuur raho Pahaad si khaslat na laana khud mai ki fazaa tak jaa lago Choti ka koi bharosa nahi jad se bagair guruur raho Pasand kar lo manzil khud-ba-khud,"Aadil" khud safiir raho Ya t.o bad-ruuh raho safar mai,Ya ba-shumuul-e-nuur raho ©Ruuposh Aadil Magar jis daur se bhi guzro uss mai bharpuur raho shayari on life