Humse hoga hi nahi, jhoota kaseeda likh diya Ya kisi laila ki tareefo.n me nagma likh diya Hukmrane waqt yun bhi mere dushman hai bane Jaisa dekha shehr ka waisa nazara likh diya Jisne likkha hai sabhi k waaste kya kya na kuch Mere hisse me usine sabr karna likh diya Khat raqeébo ko likhe hai tumne kitne hii sanam Aur jab pakde gaye to naam mera likh diya ©Adnan Shaikh #Books #urdushayari #napowrimo #rekhta #kafiya #gulzar #jaunelia #adnanwrites