Nojoto: Largest Storytelling Platform

Materialism apne urooj par hai. Apki qadr kewal ta

Materialism apne urooj par hai. Apki qadr kewal tab tak hoti hai jab tak aap kaam ke haiñ. Yani insan ki nahiñ balke materialistic property ki ahmiyat hai. Yahi wajah hai ke aaj aulad badi hokar walidain ko kinare kar deti hai, shagird ustad ki izzat karna chhod deta hai aur dost dost ko bhula deta hai. Iske zimmedar bhi ham hi haiñ. Hamare zehen maiñ hardam maal, daulat,zameen-jaydad aur status hi ghoomte rehte haiñ. Hamare discussions bhi isi par hote haiñ. To jesa bote aye haiñ wesa kat-te ja rahe haiñ! #Ham #Muhabbat #Society