White Haarne ka koi gum nahi, Gar jeet ki havas baaki hai. Ladne se koi aitraaj nahi, Gar praan jism me baaki hai. Dekhta hoon kaun rokega, Ye dharti ya ye aasmaan. Dekhta hoon kaun thaamega, Jo chal padaa meri niyat ka kaarvan. Aaj gar tham gye ye kadam, Toh kal afsos ki siski hogi. Aaj gar na thake hum, Toh kal Vijay ki drishti hogi. Soch lo kya karna hai, Aaj jee kar kya kal marna hai? Soch lo gar kal acha karna hai Toh aaj mar mar kar kal jeena hai. ©Shubham36 #good_morning_quotes #Motivational #Inspiration #Life #Success #Truth #Happiness #Love