Nojoto: Largest Storytelling Platform

SURAJ TUM MERE CHANDA TUM kbhi kuch kahna,kbhi c

SURAJ TUM MERE CHANDA TUM

kbhi kuch kahna,kbhi 
chup hi rah jana tum.

main ankhon se samjhne ki kosish karungi, 
bas nazren na churana tum.

jab raat ho or kali 
or dard ho or gahra,
to dhire se aa k bas pass baeth jana tum.

main kuch nhi kahungi ye jante ho tum,
pr dil ki dhadkano se pahchan jana tum.

kuch ankahi baaten kuch ansune kisse,
or in kisse kahaniyon k bich
mera pura fasana tum.

jab lage tumhe k kahin kho gyi hun main,
to apne khaylon me mujhe dhudh lana tum.

jab gum ho jaun apne hi kisi guzre hue pal me,
chupke se aake wahan se khich lana tum.

zindagi ka bojh kbhi lagne lage jo bhari,
ek kaam karna,thoda sa isko uthana tum.

tum aaye ho mujhme meri talash ban k,
bas itni si hae chahat,ismne na kho jana tum.

main dhudti phirungi tumhe apne dil ki galyon me,
phir mere kano k pas aa k ek awaz lagan tum(mahi).

jab kbhi main ruth k tumse lad baethun,
to ladte ladte dhire se muskurana tum.

in andheron ne mujhko kahin rok rakha hae,
suraj ban k  jaese inme jagmagana tum.

main jeet jaungi agar tum sath jo doge,
bas meri tarah himmat na haar jana tum.

©Mahreen ki nazar se suraj tum mere chanda tum