Nojoto: Largest Storytelling Platform

Chandrama ka aakash chandni se zaroor nahaya hoga.

Chandrama ka aakash chandni se zaroor nahaya
hoga..Raatri ka ghoonghat uthte hi kshitij par laalima ne sadiyon se holi kheli hogi ya phir aawara hawa ke jhonkoan ne phooloan ka badan
chooma hoga..To phir hawa jab phool ka badan
choomti hai to khushboo janm leti hai..Khusboo
jab insaan ke paikar mein dhalti hai to husn
 paida hota husn bikhre to chandni kahlaaye
simte to Malika  e  Hindustan ke khitaab se
nawaza jaaye..woh muskuraayi to jaise kaliyon
ne khilna seekha..khumaar mein doobi aankhein
kisi gehri nadi ki tarah.Chale to chandni
chhitke ..rukey to samaye thahr jaaye..
yeh samaye ki samarpit raahni hai...!!
( It's a part of my documentary...Memories
of Another day..!! )
Written  Anchored & Narrated by..
Shinawar. Madhu  Bala
yeh baadal kahaan se aate hain..!

shinawar4707

Shinawar

New Creator
streak icon1