The rose petals Ankhein rahi band salon saal hamari Par kabhi bhi apka koi khaab na aaya Maine likhey kitni hi khat apko ba naam apne Kya isiliye kisi ka koi kabhi javab na aaya Log kehtey hai ishq mohabbat gunaah hai khata hai Mujhe lagta hai shayad isilie mere hissey koi savab Na aaya Shab bhar edhiya rigdi hai humne bhi iztiraab me Lekin zameen se kabhi koi chashma-e-aab na aaya Humne toh dil ke zakhmo ki numaish kar daali Par Apki aankho me auro k jaise selaab Na aaya Sabhi ke ghar roshan they shab ke akhiri peher tak Ek hamarey hi angan me mehtaab Na aaya Koi kami rahi hi hogi ishq me hamarey Ki sabko tohfey miley na jaane kitne hi or hamarey naam pe toh ek gulaab Na aaya #shaghaf #Rose gulab #ghazal #corona #love