Nojoto: Largest Storytelling Platform

chandrama ka aakash chaandni se zaroor nahaya hog

chandrama ka aakash chaandni se
 zaroor nahaya hoga..ratri ka ghoonghat uthte hi kshitij par lalima ne sadiyon sang aankh michauli kheli hogi..ya phir aawara hawa ke jhonkoan ne phooloan ka badan chooma hoga..to phir hawa jab phool 
ka badan choomti hai to khushboo janm leti hai..khushboo jab insaan ke 
paikar mein dhalti hai to husn paida hota hai.husn bikhre to chandni kahlaye..simte to Malika e Husn ke
khitaab se nawaza jaaye• 
● Shinawar ~ Malika  e  Husn
     Madhu Bala

shinawar4707

Shinawar

New Creator