MAIN MAJDOOR Wo hathon me ek bag liye parivaar se milo dur, nikla tha sehar Dhudnne kahi zindagi ka saharaa Na pata tha yaha ho jaunga main or bhi besahara Gaw me bachoo ka pyar to tha, sukhi roti khate the lekin unn rotiyon me swad to tha Sehar me itni chakachondh hai fir bhi mujhe sab dhundla dhundla dikhta haii Yaha to main kam dhundne aaya tha, par yaha to isnan koriyon ke bhaw bikta hai Aachank aayi ek bimari Maine apni potli sambhali Bhagna chaha apne ghar ke or par ghira para tha char dibari, Chahat thi bachho ko padhane ki biwi ko naye kapre dilane ki Ab kaise main kamaunga kya lekar ghar main jaunga Mere bachhe waha bhuke honge khet sare mere sukhe honge😞 Gaw me hota to kuch na kuch karke gujar leta zindagi Yaha to koi apna nahi kisse mangu main do pal ki khusi Bebas lachar main yaha rota hu din or rat bas pani pi kar sota hu Ek bhi paise nhi bache ab khane ko, Kya karu main khud ko bachane ko😞 Ek bimari ne le li sabki zindagi Koi bhuka hai koi parivaar se dur to koi mang rha apni purani zindagi Na jane kab khatm hoga ye bimari ka dor Kab ja paenge hum apne ghae ke orr😞 VIRAJ.. 🖤 #sunlight #poem