Mata-Pitah hamare bhagwan Hum bachche unki hai jaan Mata-Pitah hamare bhagwan Mata hai mamta ki bochar Jaan lutaye vo hum par yaar Karti hai vo itna pyar Hoti hai vo hamari salahkar Kya karte hai hum unse itna pyar? Pitah hamare palanhar Kya hum unke aagyakar? Hamare sapne pure ho jaye Yahi to hai unka jeevan aadhar Kya karte hai hum unka Itna hi aadar satkar? Mata-Pitaah hamari jaan Karna humko unka maan Paana humko unse gyan Hume samjhna unka pyar Banna unka agya kar Mata-Pitaah hamare bhagwaan Mata-Pitaah