Shayron ki ek unwaan si ladki, Vo apne khayalon ki ek Khayal si ladki, Gulzar Sahab ki ek nazam si ladki Vo har raaste ki aant se darne wali masoom si ladki, Apne khayalon ki khush-numaa si ladki Auron ke dard se be-daar hone wali pagal si ladki, Muneer niazi Sahab ki, hamesha se der kar deta hun main, zaruri baat kehni ho koi wada nibhana ho hamesha der kar deta hun main, is nazam si ladki Jab Galtiyo se pasheman hoti hai, apne apko ehsason se khud jalati hai, aur baar baar khud se khud kaid karne wali deewani si ladki, Jaun elia Sahab ki, ik Naya rishta paida kyun kare jab bichdna hai toh jhagada kyun kare is gazal ki aaine si ladki, Jab rishton mein dooriyan badh jate hain, Jazbaton se khud ko khud se tanha tanha karne wali ehsason ki ummeed si ladki, Ahemad Faraz sahab ki ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa, aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa, is gazal si ladki, Ulfat bhari nigahon mein basne wali ek aadat si ladki, apni chahaton se khud ko mujhse milane wali intezar si ladki, raaton ki ninde uadane wali chand ki chandani se raushan karne wali chamak si ladki khwabon ke khayalon mein khud ko kho dene wali khwahish si ladki, Shayron ki ek unwaan si ladki, Vo apne khayalon ki ek Khayal si ladki, ©Aj stories #chaandsifarish #dilsedosti