Nojoto: Largest Storytelling Platform

Main khudgarz utni hi hoon jitne tum. Main kyu Waz

Main khudgarz utni hi hoon jitne tum.
Main kyu Waza - e - begharaz banu?
Mera lehja utna hi chashni hai jitna tumhara.
Main kyu Shaistaghi ki misaal banu?
Gar tumhein shauq - e - husn hai, 
Toh sang - e - marmar ka mehboob le aao.
Meri rukh - e - munavvar tumhari paband nahi hai.
Main fasahat ka samaan nahi hoon, hayaa ka farmaan nahi hoon.
Main tumhari Khayaal - e - yaar nahi hoon.
Tumhari ghamkhwar nahi hoon.
Main tumhari taajdari ki mahkoom nahi rahi.
Tumhari chahaton ka markaz nahi rahi. Sarkash