Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ye zindagi ki kahani pata nahi kab tak hai nibhani

Ye zindagi ki kahani pata nahi
kab tak hai nibhani,
Agar ye tere sath guzarti tho
shayad taklif kam deti,
Khubsurat chehre aam
dikha aur bika karte hai,
Par jo tera kirdar hai mai wo yaad kiya karta hu,
Kya karu aaj bhi tujhse pyar kiya karta hu,
Mai gair-hakiki hawa mai baatein nahi karta,
Mai ye nahi kehta ki ta-umar hasunga nahi,
Mai ye bhi nahi kehta ki firse ishq nahi hoga,
Mai ye nahi kehta ki zindagi tham jayegi,
Aur na mai saasein rok sakta hu,
Mai bas itni si baat kehta hu ki
tum hote tho baat hi kuch aur hoti....

©Mr Shaikh #peiceofmine 
#patience