tere dar se uthkar jidhar jaaun main chalun do qadam aur thahar jaaun main sambhale toh hoon khud ko tujh bin magar jo chhoo le koi toh bikhar jaaun main tabassum ne itna dassa hai mujhe kali muskuraye toh darr jaaun main agar tu khafa ho toh parwah nahi tera gham khafa ho toh mar jaaun main #khumaar Barabankvi ©Ansari Saleem #main #qalam #tum #lafz #zindagikerang