Nojoto: Largest Storytelling Platform

jab panchbhooto dwara meri rachna ho chuki thi, is

jab panchbhooto dwara meri rachna ho chuki thi,
iswar ko mera janm lena swikaar tha ,
to samay ne mujhe kyu nakara ,
ush maa ne ne mujhe kyu na swikara,
kyu mai tumhare duniya se anjaan rah gyi ,
bas nau mahine tak bankar garbh ki jaan rah gyi,
Baba mai tumhare hi aangan ki guriya hu,
kyu mai janm ke kuch hi chan me tumhe paresaan kar gyi.

maa jis navjaat ko tune pet me pala ,
kis karan use kachre me phek dala,
aur mai bankar rah gyi jaanvaron ki niwala,
jab kapro me lipti meri laas milti h ,
akhbaaron ke panno me meri jindagi wahi dam torti h,
mujhe tyaag karte teri aankhe na bhar aayi ,
Baba mai tumhare hi aangan ki guriya hu ,
mujhe phekne jaate tumhare paaon bhi na larkharaye .

maine ush desh me janm liya ,
jaahan striyo ki puja hoti h,
par mai ush ghar me janmi,
jaahan bina dudh piye betiyaan vida hoti h,
He bacchiyon ke kokh ke kaatil,
ye bacchiyaan hi kal kisi ki patni hoti h ,
kisi ki maa hoti h,
ye aaj ki bacchiyan hi kal ki janni hoti h,
kal ki jahaan hoti h,
He ishwar,aaj ke samay me ye pachpaat kyu ,
Baba mai timhare hi aangan ki guriya hu,
mere janm lene se pahle ye garbhpaat kyu.

yadi ish bartata ko na chora ish sansaar ne ,
to kai pidhiya chali jaaegi harsh rahit andhkar me,
aab hum guriyaa ko bhi dhara par aane do,
ish jahan ke god me khulkar muskurane do,
mai nhi koi jahar ki puriyaa hu ,
Baba mai tumhare hi aangan ki guriyaa hu ,
Maa mai tumhare hi baagon ki lariyaan hu. # beti bachaao beti padhaao