#DearZindagi Na jaane zindgi kahan se kahan le aayi hai apno ke pichhe bhagte bhagte khud ko kahin dur chod aayi hun koi gira to use uthaya rote hue chahre ko hansaya jab mujhe jaroort thi apno ki tab sabne haath chhudaya ek din jab kisi ne mujhe chua mera muh dabaaya jabardasti mere andar ghusne ki kosis ki meri izzat tar-tar kiya jab mujhe apno ka sath aur insaaf chahiye tha to sabne chup karaya khandan ki izzat ka kya hoga ye bataya Shukriya,tabhi to tum kon ho mujhe ye samajh aaya mana tu jeeta par main v haari nhi main ladungi kyunki main zinda hun aur nhi main sarminda hun main jhansi ki rani nhi pr tere zulm ki tabahi hun dar ke nhi khul ke jine main is duniya me aayi hun kyunki aayi likhane nayi kahani hun #DearZindgi # story