#Waha shor-o-gul nahi, waha sannatedar virana hai................#Waha koi humdard nahi, waha akele hi ask bahana hai................#Waha waqt ki koi killat nahi, waha lamba waqt bitana hai.................#Ye it ka makan nahi, wo kabr hi aashiyana hai..............#Fir kaisi ye lut-khasot, fir kyu ye chori-chamari hai..................#Fir kaisi ye baimaniya, fir kyu paiso ki mara-mari hai.................#Kuchh nahi jayega waha, sab yahi rah jana hai................#Ye it ka makan nahi, wo kabr hi aashiyana hai..............#Jane kyu hai khud pe gurur itna, jane kis bat ka guman hai..............#Fanna ho jana hai khak hokar, are aakhir tu bhi to insan hai..................#Kar logo se eqkhlaq achhe, yahi aakhrat ka khajana hai...................#Ye it ka makan nahi, wo kabr hi aashiyana hai..............#A nadan nadani chhod ab, chal uth akl se kaam le.................#Paancho waqt ki namaz padh aur Allah ka nam le.................#Aakhir Nabi ka hi naam lekar tujhe khudko bachana hai................#Ye it ka makan nahi, wo kabr hi aashiyana hai.................... *✍* ©Faiz Ahmed Khan #Light