Nojoto: Largest Storytelling Platform

Dilon ko khahishon se rok lena hi mohabbat hai Kh

Dilon ko khahishon se rok lena hi mohabbat hai 
Khuda  ke waste sab chhod dena hi mohabbat hai

Gunahon ki talab ho aur mauqah bhi muyassar ho
Magar  phir  bhi  gunah se baaz rahna hi mohabbat hai

Kare  gumrah  jab  shaitan neki se humen roke
Na us ki baat par kanon ko dharna hi mohabbat hai

Lagi ho aag aur yeh aag qeemat ho mohabbat ki
Bina dar aag men bhi kood padna hi mohabbat hai

Bayaban ek sahra aur jahan khana na pani ho
Thaharne   ko  wahan  tayyar  hona  hi  mohabbat  hai 

Budhape   ke   sahare   ko   agar   qurban   karna  ho
Khushi se yeh chhuri us par chalana hi mohabbat hai 

Ho  peechhe  lashkar e jarrar  aage  ek  darya  ho
Bhrosa kar ke darya men utarna hi mohabbat hai 

Kisi se dushmani kuchh bhi nahin bas nek chahat men
Kabhi   gaali   kabhi  patthar  bhi  khana  hi  mohabbat  hai

Nae'e shaadi nae'e biwi jawani ke maze ko bhi
Khuda  ke  waste  qurban  karna  hi  mohabbat hai

Khuda tak jo na pahunche wo mohabbat jhoot hai Shakir 
Ke  jeena  us  ki  khatir  aur  marna hi mohabbat hai

©Karim Shakir #urdu #Poetry #sheroshayari #urduadab #poetryworld #karimshakir 

#Books

karimullahmalik2794

Karim Shakir

New Creator