शिद्दत Soch rahi thi tumhare liye kya likhu.... Sabdovko kahan se lau, kaise izhar karu... Betahasha mohabbat ka sabab kuch durr tak jana hai Tumhare sath bethkar puri jindagi ko jeekar dikhana hai... Ek tere siwa mera koi humdum nahin jaana😘 Tere sath ke liye bs har modd par tera sath nibhana hai... Tumhare sath bethkar puri jindagi ko jeekar dikhana hai .. Armano ki main baat nahin karti, sivay tere koi fariyad nahin karti... Iltza hazaro se nahin rakhti hoon pyar paane ki.... Par tere alawa kisior se kabhi main pyar nahin karti.... Tum sang lambhi raahon par chalkar dikhana hai... Tumhare sath bethkar puri jinsagi ko jeekar dikhana hai. Khuda se ek dua maangi hai, tumhare har kaam mein barkat ki Tumhare ghar har khushiya hon, phir ho chahe mere hisse ki .... Ek mandir mein tumhare sang jakr mastak jhukana hai... Tumhare sath bethkar puri jindagi ko jeekar dikhana hai... Ho chahe gam hazaro ird-gird mere, tumhe khush hokar manana hai. Tumhare hoton par hardum mushkurahat ho, bs esa koi jumla sunana hai... Kabhi gar dard ho tumko, toh marham khud bn jana hai... Tumhare sath bethkar puri jindagi ko jeekar dikhana hai...