Abhi mat Jagaana Abhi nahi maa Abhi mat jagaana mujhe Badi muskil se chain ki neend soii hu Mera takiya gila dekh kar paresaan na hona Bahut dino baad khul ke roii hu Darpok nahi hu mai thori Karjor hu mai maanti hu Ladka nahi ladki hu Mai ye jaanti hu Phir kyu mujhe ye baat baar-baar bataya jata hai Aise rehna, aise chalna mujhe baar-baar samjhaya jata hai Iss duniya mai niyat kisse aur ki gandi ho kharab ladkiyo ko hi bataya jata hai Aaj kal galliyo mai insaano ki jagah kutte paye jaate hai In kutto mai insaaniyt kaha se hogi ye bhul gye aaj humhari baari hai to kal inki behan, beti ki baari hogi Isse dar se dub rahi hu mujhe ek kinara chaiye Mai kamjoor nahi hu saamna kar sakti hu bs Maa tera sahara chaiye lekin Abhi nahi Maa Abhi mat jagana mujhe Badi muskil se chain ki neend soii hu mera takiya gila dekh kr paresaan na hona Bahut dino baad khul ke rooi hu. ~Riya prasad #hiddengirl #nojoto #poetry