Nojoto: Largest Storytelling Platform

Taqdeer. Jaane kitne chehre hai iss bheed mei jo

Taqdeer.

Jaane kitne chehre hai iss bheed mei jo khud ko taraashna chahte hai,
Khud ko jeet se waaqif kar, zamaane ko haraana chahte hai,
Lafz unke kaid hai majbooriyo ki roshni mei, woh apne labh khol kar sawera-e-khuda dekhna chahte hai,
Kabhi dekhna unki aankho mei tumhe hardum ek nami dikhegi, woh apne aansuo'n ki siyaahi se apni taqdeer likhna chahte hai,
Rukte nhi hai woh kadve haalato'n se, har kadvahat ko pee kar woh bas shehed mei ghulna chahte hai..  Taqdeer apni banayi hue.