Nojoto: Largest Storytelling Platform

Piles: A Very Painful and Dangerous Disease Octob

Piles: A Very Painful and Dangerous Disease

October 2012 mein mujhe ek problem hui thi….jab bhi mai kahin baithta tha ya bhaagta tha ya chalta tha tab mere bum mein se bleeding hoti thi. Kuch dinon tak maine iss cheez ko ignore kiya, kisiko iske bare mein kuch nahi bataya….Fir dheere dheere problem badhti gayi, bleeding badhti gayi….Mom Dad ko mere shorts ya jeans ke peeche khoon ka nishaan roz dikhne laga…Tab unhone mujhe poocha ki mujhe kya ho raha hai,mujhe koi problem toh nahi hai? Aur mujhe toh pehle se hi iss problem ke baare mein pata nahi tha ,main kya bolta….

Agle din mom dad mujhe check up karvane Lok Hospital leke gaye,tab vahan jaakar pata chala ki jisse main problem samajh raha tha voh ek bimaari thi. Dr.Steven naam ke doctor ne diagnosis se yeh bataya ki mujhe Pilonidle Sinus hai jisse aam bhasha mein Piles kehte hai.Jiss hospital mein mujhe diagnose kiya tha vahan mujhe immediately operation karne ka suggestion mila….Par doctor ka kehna tha ki uss operation se piles vapas  hone ke chances  kam nahi hai aur agar mujhe operation karvana hai toh mujhe hospital mein 1 din ke liye admit hona padega…

Humein koi safe option chaiye tha isiliye humne kisi aur doctor ko consult karne ka socha. Dad ke friend ne ek doctor ka suggestion diya jo Piles ke field mein sab ka baap tha….Kahan kahan se log uske paas aakar apna operation karvake jaate the…Toh humne bhi try kiya. Yahan Panchpakhadi mein Dr.Lolge naam ke doctor ka clinic tha.Vahan mujhe lekar gaye,Checkup hua aur mujhe pata chala ki ab mere pass operation karvane ke alava aur koi option nahi bacha tha….Jaise Cancer mein 3 stages rehte hai, vaise hi Piles mein bhi the…

1st aur 2nd stages par dawai se Yeh thik ho jaata hai…Par jab 3rd stage par Piles ki bimari pohochti hai toh operation kiye bina voh thik nahi hota…Piles mere liye cancer se ladne jaisa tha.

Doctors toh humein dilasa dene ke liye kehte hai ki kuch dard nahi hoga,5 minute ka operation hai….Par jab operation theatre mein mujhe le jaya gaya toh main bhi stress free tha ki Dr ne bola kuch nahi hoga toh haa baba kuch nahi hoga

Trust me guys….Dard kya hota hai ye mujhe  uss din OT(Operation Theatre)mein Pata chala…..Doctor ne jo bhi kaha tha uska sab oolta hua…..Dard hua ,bohot dard hua…..Pata nahi uss doctor ne kahan kahan injections ghussaye the….kam se kam 6-7 baar toh injections maare hi honge….Aur 5 minute nahi,poore aadhe ghante tak operation kar raha tha voh doctor mera.

Mujhe pehle hi bola gaya tha ki operation ke baad patient ko chakkar aate hai,aur usse operation ke baad 15-20 minute sona padta hai…Aur operation ke baad ke 5 din mujhe clinic mein checkup ke liye jaana hai…

Aaj 6 saal ho chuke hai…aaj pehle se thik lagta  hai mujhe par fir bhi darr lagta hai ….ek khauf sa baith gaya hai dil mein….Aaj bhi jab mai kabhi checkup ke liye jaata hoon tab jo log vahan operation karvane aaye hote hai unko dekhkar apna dard yaad aata hai…OT mein jab voh injection maarte waqt patients ka dard se chillana yaad aata hai…. A very painful story this time.... Its true story..... It's my story 😔

A very painful story this time.... Its true story..... It's my story 😔