Nojoto: Largest Storytelling Platform

YE KAISI IBAADAT?! Jab dekha tumhe to tum sapne

YE KAISI IBAADAT?! 

Jab dekha tumhe to tum sapne si lgi, 
Yu tumhari muskaan kuch apne si lgi. 
Sari fikar chor tum sang sansaar bsana tha, 
Pr uske beech deewar ye mazhabi zmana tha. 
Hmare pyaar me karvahat na thi Hindu aur Islam ki, 
Pr tha to mai pujari ka beta aur tu beti  imam ki. 
Tumse urdu seekh maine sanskrit shlok padhaya tha, 
Geeta ka saar sun tumne kuraan mujhe samjhaya tha. 
Mere ardaas me tu aur tere dua me mera arth tha, 
Eid ka chaand bhi bola zmane ko smjhana vyarth tha. 
Pr aakhir hmara wo sukun is zmane ko  khatakne lga, 
Wo sapno ka sansaar inke nafrat se simatne lga. 
In sabse lad lete hum,  pr tum kyu phle hi haar gyi? 
Ye duniya chor chali gyi tum kyu itna lachar hui? 
Tumhare kadmo ke bina mera chalna bhi bekaar tha, 
Is nafrat se jo haar gya wo hum jaiso ka pyaar tha. 
Pr, 
Alag jahan hum fir mile wahan nafrat ki  ab deewar nhi,
Bss ishq ki ibaadat h koi dharm ki takraar nhi!!! 

      - Meraki kB #Ye kaisi Ibaadat?!
#Love
#interreligion
#nojitohindi