Baniyaa ki dukaan mein udhaar rakha hai Maiz par maine kal kaa akbaar rakha hai Saazish e qatl me jo tha kal shaamil mere Usi shaqs par aaj maine aitbaar rakha hai Meri ye gurbat aur bebasi ke chalte huwe Gharme walid ko maine bimaar rakha hai Maa toa bata rahi hai ke abhi khaana degi Mujhe pata hai chulepar intezaar rakha hai Jab mohtaaji zamane ki dahliz me aagayi Rote huwe kadmaun me kirdaar rakhai hai Har rishte ne noche hai zajbat ke par mere Par maine khudko farmabardaar rakha hai Jiske gunaah maine apne zimme liye hai Saza sunane ke liye usne darbaar rakha hai Yun jazbaat beche kharide jaate hai imran Tabaahi ka husnwalaune karobaar rakha hai #quotes #poetry #shayari #dosti #pyar