Hijr ka dard akhir kb talak sahaa jaaye Kab talak faaslon se haar kar jiya jaaye Teri awaaz jo in faaslon mein kaayam hai Kyun na awaaz se hokar tujhe chuaa jaaye Tere haathon ki narmiyaan bhula nahi paata Kyun na ye haath saari umr ko thaama jaaye Aa bhool jaayein jism e darmiyaan hadein saari Itna kas kr tujhe baahon mein bhr liya jaaye - kanav Chuaa jaaye