Nojoto: Largest Storytelling Platform

Bikhare rang hazaar rango ke beech tanha berang

Bikhare rang

hazaar rango ke beech tanha berang khadi hu main 

khule aasmaano ke neeche dard- gamo ke chadar oodhe hu main

kashmakash me hu hai zindagi, khud se hi jang lad rahi hu main 

Andar kayi dard chhupaye, chehre par mushkan liye baithi hu main

dil rutha hai mera, aashiyana bhi tuta hai mera 
jamana to jhutha hai, koi apna seene se lagaye aisi aash lagaye baithu hu main  

khud andhere me hun, dusro ke liye diya jalaye baithi hu main.
koi apna to kahe, kahne ko kayi raaz liye baithi hun main 
koi pyaar to barsaayo pyas liye baithi hu main 
tum apna khali dil lekar aao, bharne ke liye mohabbat aur ek umr liye baithi hu main.....

©Vijaylaxmi verma #Bikhare rang 

#Thoughts