Teri mohabbat me mujh ko kya mila kuch bhi nahi. ranjo GAM ke siwa mujh ko kya mila kuch bhi nahi. Khayale mohabbat dil me sajaye rakha tha ham Ne. Tere inkar ke siwa mujh ko kya mila kuch bhi nhi. Aarzoo to thi sari umar tere sath guzre. Lekin tanhai ke siwa mujh ko kya mila kuch bhi nhi. Ham Ne tujh par mohabbat ki barsat kar di. Teri nafrato ke siwa mujh ko kya mila kuch bhi nahi. Tere ane ki ummid me palke bijhaye baithe hai. itazar ke siwa mujh ko kya mila kuch bhi nahi. Wade wafaye tere saare jhute lagte hai Ab mujhe. Teri bewafai ke siwa mujh ko kya mila kuch bhi nahi. Rah e mohabbat me mujh ko tanha chhod diya tune. Teri mohabbat me ansoo ke siwa mujh ko kya mila kuch bhi nahi. Aaj un ki zindagi khishiyo se saraa bor hai Zafar. use to sab mila mujhe kya mila kuch bhi nahi Shabbir Zafar Naakaam Mohabbat Ek Dafa Zarur Padhe Aur Pasand Aye to Comment Kare Na bhi Pasad Aye To Bhi Kare Aur Bataye Ki Kya khami Hai