Nojoto: Largest Storytelling Platform

Naya Ik Rishta Paida Kyuun Karen ham BichhaḌna Hai

Naya Ik Rishta Paida Kyuun Karen ham
BichhaḌna Hai To Jhagda Kyuun Karen Ham

ḳhamoshi Se Ada Ho Rasm-E-Dūri
Koi Hangama Barpa Kyuun Karen Ham

Ye Kaafi Hai Ki Ham Dushman Nahin Hain
Vafa-Dari Ka Da.Ava Kyuun Karen Ham

Vafa Iḳhlas Qurbani Mohabbat
Ab In Lafzon Ka Pichha Kyuun Karen Ham

Hamari Hi Tamanna Kyuun Karo Tum
Tumhari Hi Tamanna Kyuun Karen Ham

Kiya Tha Ahd Jab Lamhon Men Ham Ne
To Saari Umr Iifa Kyuun Karen Ham

Nahin Duniya Ko Jab Parva Hamari
To Phir Duniya Ki Parva Kyuun Karen Ham

Ye Basti Hai Musalmanon Ki Basti
Yahan Kar-E-Masiha Kyuun Karen Ham #jhonAlia #poetry
Naya Ik Rishta Paida Kyuun Karen ham
BichhaḌna Hai To Jhagda Kyuun Karen Ham

ḳhamoshi Se Ada Ho Rasm-E-Dūri
Koi Hangama Barpa Kyuun Karen Ham

Ye Kaafi Hai Ki Ham Dushman Nahin Hain
Vafa-Dari Ka Da.Ava Kyuun Karen Ham

Vafa Iḳhlas Qurbani Mohabbat
Ab In Lafzon Ka Pichha Kyuun Karen Ham

Hamari Hi Tamanna Kyuun Karo Tum
Tumhari Hi Tamanna Kyuun Karen Ham

Kiya Tha Ahd Jab Lamhon Men Ham Ne
To Saari Umr Iifa Kyuun Karen Ham

Nahin Duniya Ko Jab Parva Hamari
To Phir Duniya Ki Parva Kyuun Karen Ham

Ye Basti Hai Musalmanon Ki Basti
Yahan Kar-E-Masiha Kyuun Karen Ham #jhonAlia #poetry
hiramalik8347

hira malik

New Creator