Wo roti rahi, gidgidati rahi, uski mafi ke liye Wo maarte rahe usse parva na thi unhe wo mare ya jiye Un masumo ki galti thi is desh ke jaati parampara Ye ghinouna khel tha jaat ke abhimaan ka saara iss desh me mohabaatt se badi hoti hai jaat pyar karne walo ko nahi thi pata ye baat Woh dono bahit thay khush chahi thi pyar ki masti Nadaan thay wo bhool gaye insan ki kimat is desh me jaat se sasti Ladkey ki thi bhale choti jaat, tha bahut honhar Ladki ne bina sochey hi kiya tha ussey pyar ka izhaar Dono ki chahat ki na thi koi intiha Sapno ki duniya me hota tha unka basera Phir ek din jaise tuta pyar ka pahad Sapno ki khupsurat duniya ko diya ujaad Koi aur nahi, ye thay uske apne maa aur baap Jinhone kiya tha ye ghinouna paap Unko thi samajh ki parvah Na tha beti ke khushi ki chah Saara gaav dekhte raha tamasha Maar khate raha ladka wo betahasha Fek aaye uski lash nadi ke kinare Apni ye neechta se khush thay saare Ladki ne kiya tha vaada nibhane ka uska saath Khuudkhushi kar li, kat liye apne haath Dono ki chitaye ko jalaya gaya ek saath Markar jeet gaye dono, rote rahe do ghar saari raat Upar asmaan se dekh dono muskaye Dharm, jaat ka faltu gumaan bhi unka saath na tod paye