'MERI KADAR TUJEH US DIN SAMAJ AAYEGI' Meri kadar tujhe us din samaj aayegi Jub tu kisiko mnane Hazaar baar jayegi aur woh tujhe ek baar mnane aaye us chahat mai tu tadapti reh jayegi Meri kadar tujhe us din samaj aayegi Jub tu royegi aur tere Aasoo pine wala koi na hoga tu bs roti reh jayegi meri kadar tujhe us din samaj aayegi Jub woh Sirf tere Jism ko chahega aur tu use dil se chahegi Meri kadar tujhe us din samaj aayegi Tu jub usko kass ke gale lagegi par uski taraf se kuch mehsoos na kar payegi Meri kadar tujhe us din samaj aayegi Tere jazbaton ki koi kadar na hogi tu Sirf ek khilona banke reh jayegi Meri kadar tujhe us din samaj aayegi Jub tu bimaar hogi aur uske ek call ke intazaar mai sara din bitaygi Meri kadar tujhe us din samaj aayegi Rishte ko bachane ke liye tu har koshish kar jayegi par badle mai har baar dhoka hi payegi Meri kadar tujhe us din samaj aayegi Tu royegi uske samne uski wafa ke liye gidgidayegi meri kadar tujhe us din samaj aayegi - SAGAR JOSHI Male version of goonj chand's poetry 👇 Meri kadar tujhe us din samaj aayegi ( plz comment if you want audio version of this poetry ) #poetry #sagarjoshi #feel #like #share #followformore #showlove #comment