Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ankahi Dard sab ko hota hai, Koi dharm ho, koi zaa

Ankahi
Dard sab ko hota hai,
Koi dharm ho, koi zaat,
koi rang ho, koi nasl,
Dil sab ka rota hai.
Shor to sab sunte hain,
Kabhi uski 
khamoshi bhi suno,
Jo 
sadiyon se chup hai,
Jis me bala ka zabt hai,
Jo lut ke loot ta nahi
Jiske haathon
sabr ka daaman
Chhoot ta nahi,
Jo khol ke bayan na kare
Afsana us ka bhi hota hai
Dard sab ko hota hai,
Dil sab ka rota hai,
Magar yaad rakh mere dost,
Insan wohi kat ta hai
Jo bota hai..
Dard......
Dil....
Yogita Joshi. Ankahi
Ankahi
Dard sab ko hota hai,
Koi dharm ho, koi zaat,
koi rang ho, koi nasl,
Dil sab ka rota hai.
Shor to sab sunte hain,
Kabhi uski 
khamoshi bhi suno,
Jo 
sadiyon se chup hai,
Jis me bala ka zabt hai,
Jo lut ke loot ta nahi
Jiske haathon
sabr ka daaman
Chhoot ta nahi,
Jo khol ke bayan na kare
Afsana us ka bhi hota hai
Dard sab ko hota hai,
Dil sab ka rota hai,
Magar yaad rakh mere dost,
Insan wohi kat ta hai
Jo bota hai..
Dard......
Dil....
Yogita Joshi. Ankahi