Nojoto: Largest Storytelling Platform

Apne hi Ashko ke saagar doobta gaya... Maano Koi S

Apne hi Ashko ke saagar doobta gaya...
Maano Koi Sahara hi Na raha..
Maikhano ko yaad karta Raha..
Tabhi Kuch door Ek kinara dikha..
Kahin ye Mera bhram to Nahi, Kiya usse undekha..
Par tabhi karno me karkash si hui, laga Kisi ne Pukara..
Fir kinare ki or Mukh Kiya to dekha..
Ek bachcha idhar udhar bhaag raha..
Kuch Aur bhi log dikhe, Ek parivar sa laga,
Mai Tham sa gaya Aur is nazaare me taleen ho Gaya..
Bachcha jab jab lehro ke Kareeb aya,
Tab tab uski ungli pakadkar vapis lijaya gaya..
Kuch Kashish thi us lamhe mein Jo mai achanak muskura gaya..
In sabse prerit hokar mai Zor se chillaya..
Meri awaaz un tak pohchi, Sabne Haath hilaya,
Kinare ki or aane ka Kiya ishara.. 
Is Adhmare shareer ko uksaaya..
Saamne vo insaan Mujhe doobta nai dekh sakte, aisa mehsoos Kiya..
Vishal samundar me bhi Khud ko mehfooz paya..
Fir Na aav dekha Na taav.. Aur unki Aur tairta gaya..
Bejaan Aur thaka itna, Maano paani Nahi dal dal me tairta gaya..
Par jab sir utha Kar dekha, vo vahin the khade..
Nai chahte me doob jaun, Hua mujhe Vishwas..
Aur kisi Tarah mai kinare Poch gaya..
Par Pochte hi vahin dher ho Gaya..
Karna chahta tha me shukriyada..
Par usse Pehle hi behosh ho Gaya..
Kuch din baad jab hosh...
To unhe apne pass paya..
Kahin ye swapn to Nahi..
Mae ghabraya Aur chillaya..
Par unhone mujhe dutkara nai, Na hi Kiya sharminda..
KIYA TO BAS ITNA KI MUJHE MERE PAIRO PAR UTHAYA..
AUR ZINDAGI KYA HAI, JEENA SIKHAYA... #NojotoQuote Ajnabi hi sahi par insaaniyat hai zinda

akhilkael0764

Akhil Kael

Silver Star
Super Creator