Nojoto: Largest Storytelling Platform

Theek se luggage Pack kar liya hai na bitiya Airp

Theek se luggage 
Pack kar liya hai na bitiya
Airport ko nilkalnay ka
Waqt ho Chala hai
Kehtay huay Amma
Paas as ke baitheen
Ji Amma,keh kar
Sar to hila diya
Par mann ki baat 
Zubaan tak na aa saki
Kaisay batati keh 
Kaash koi jadoo ki chadi hoti
Aur main sab samet leti
Sab kuch to yaheen reh gaya hai
Ma Bhai, behen bhi
Dost bhi ehbaab bhi
Aur main khud bhi

Meri nigahein bhatakti hain
Ghar ke dar o deewaar par
Amma ki abnoos ki almari
Abba ki yaad dilati
Un ki aaraam kursi
Konay wala kamra
Mera aur gudiya ka
Gawaah hai hamari
Shararton ka 
Har roz ki ladayiaan
Aur Amma ki daant
Tang aa gayee hoon
Tum dono ko chakh chakh se
Najanay kab sudhreingi
Yeh ladkiyan
Bada sa palang khali pada hai
Sudhar to gayeen amma ki ladkiyan
Lekin tab tak apnay ghar baar ki
Sasuraal ka aangan sanwarnay
Chod gayeen maikay ka aangan

Bhai behnon ka mil kar
Oodham machana
Kabhi cricket,kabhi badminton khelna
Kaisay giraayee jaye
Carom ki queen ko
Ya phir cheating karke
Ludo ki baazi jeet lena

Kanon se aa takrati hai
Khidki ke baahar ki chehel pehel
Sabzi walay bhaiyya ki awaaz
Saag le lo bhindi aur tamatar
Louki le lo,makhhan hai makhhan
Pados ki khala khidki se 
Munh nikalo Kar boleen
Janay ka waqt ho gaya bitiya
Dekhbhaal ke jana..Allah Hafiz

Amma phir se bawarchi khanay mein
Kaam ki masroofiyat ke bahanay
Palloo se ansoo ponch kar
Muskuranay ki koshish karti hueen
Tab bhi aisa karti theen
Jab garmiyon ki chuttiyon ke baad
Main University Hall ko rawaana hoti
Khareed ke rakhti choodiyan
Aur shalwar kameez ke suit
Pehnegi meri laadli
Jab chuttiyon mein ayegi
Ab bhi aisi hi hain ma
Balkay pehlay se bhi zyada hasaas
Har saal to ab nahin ayegi
Yehi soch hoti hain pareshaan
Bheegi aankhon ki nami
Saree ke aanchal mein
Baandh leti hain

Taxi aa gayee hai Aapi
Bhai aa kar bola
Aur saath hi umand pada
Zabt kiya hua 
Aansoo-on ka sailaab
Aglay saal phir aaiye ga aapi
Kyon roti hain
Bhawaj aur bhateeji ko
Pyar kartay huay
Ma se galay lagi 
Un ke pair chooye
Aansoon mein muskuratay huay
Duaein padh Kar
Phoonktay huay boleen
Hanstay huay jao bitiya
Allah nigehbaan.

Chal padti hai gadi
Ghar,mohalla chod
Airport ki janib 
Par main mud mud kar
Dekhti rehti hoon
Nazron se ojhal hota hua
Apna ghar,apni galiyaan
Khush rehna mohallay walo
Khush rehna nukkad ki dukaan ke chacha ji
Khush rehna sabzi walay bhaiya
Aam ke ped,tum bhi khush rehna
Khush rehna phool aur pattiyan
Khush rehna sheher ke raasto
Khush rehna ehle watan
Phir miloongi tum sab se
Inshaallah phir hogi jald mulaqaat..

*najma*
9-3-2019©SajedaHaroon #Wish
Theek se luggage 
Pack kar liya hai na bitiya
Airport ko nilkalnay ka
Waqt ho Chala hai
Kehtay huay Amma
Paas as ke baitheen
Ji Amma,keh kar
Sar to hila diya
Par mann ki baat 
Zubaan tak na aa saki
Kaisay batati keh 
Kaash koi jadoo ki chadi hoti
Aur main sab samet leti
Sab kuch to yaheen reh gaya hai
Ma Bhai, behen bhi
Dost bhi ehbaab bhi
Aur main khud bhi

Meri nigahein bhatakti hain
Ghar ke dar o deewaar par
Amma ki abnoos ki almari
Abba ki yaad dilati
Un ki aaraam kursi
Konay wala kamra
Mera aur gudiya ka
Gawaah hai hamari
Shararton ka 
Har roz ki ladayiaan
Aur Amma ki daant
Tang aa gayee hoon
Tum dono ko chakh chakh se
Najanay kab sudhreingi
Yeh ladkiyan
Bada sa palang khali pada hai
Sudhar to gayeen amma ki ladkiyan
Lekin tab tak apnay ghar baar ki
Sasuraal ka aangan sanwarnay
Chod gayeen maikay ka aangan

Bhai behnon ka mil kar
Oodham machana
Kabhi cricket,kabhi badminton khelna
Kaisay giraayee jaye
Carom ki queen ko
Ya phir cheating karke
Ludo ki baazi jeet lena

Kanon se aa takrati hai
Khidki ke baahar ki chehel pehel
Sabzi walay bhaiyya ki awaaz
Saag le lo bhindi aur tamatar
Louki le lo,makhhan hai makhhan
Pados ki khala khidki se 
Munh nikalo Kar boleen
Janay ka waqt ho gaya bitiya
Dekhbhaal ke jana..Allah Hafiz

Amma phir se bawarchi khanay mein
Kaam ki masroofiyat ke bahanay
Palloo se ansoo ponch kar
Muskuranay ki koshish karti hueen
Tab bhi aisa karti theen
Jab garmiyon ki chuttiyon ke baad
Main University Hall ko rawaana hoti
Khareed ke rakhti choodiyan
Aur shalwar kameez ke suit
Pehnegi meri laadli
Jab chuttiyon mein ayegi
Ab bhi aisi hi hain ma
Balkay pehlay se bhi zyada hasaas
Har saal to ab nahin ayegi
Yehi soch hoti hain pareshaan
Bheegi aankhon ki nami
Saree ke aanchal mein
Baandh leti hain

Taxi aa gayee hai Aapi
Bhai aa kar bola
Aur saath hi umand pada
Zabt kiya hua 
Aansoo-on ka sailaab
Aglay saal phir aaiye ga aapi
Kyon roti hain
Bhawaj aur bhateeji ko
Pyar kartay huay
Ma se galay lagi 
Un ke pair chooye
Aansoon mein muskuratay huay
Duaein padh Kar
Phoonktay huay boleen
Hanstay huay jao bitiya
Allah nigehbaan.

Chal padti hai gadi
Ghar,mohalla chod
Airport ki janib 
Par main mud mud kar
Dekhti rehti hoon
Nazron se ojhal hota hua
Apna ghar,apni galiyaan
Khush rehna mohallay walo
Khush rehna nukkad ki dukaan ke chacha ji
Khush rehna sabzi walay bhaiya
Aam ke ped,tum bhi khush rehna
Khush rehna phool aur pattiyan
Khush rehna sheher ke raasto
Khush rehna ehle watan
Phir miloongi tum sab se
Inshaallah phir hogi jald mulaqaat..

*najma*
9-3-2019©SajedaHaroon #Wish